Sunday, September 21, 2008

DEEP THINKING

kya kahoon nahin janthi,
do kastiyon ki sawari kar rahi hoon saayad,
charo taraf pani hi pani hai ,
darthi hoon ki kahin ghir na jaaon ,
zindagi se kush nahin hoon,
bas jiye jaa rahi hoon,
aasha ki ek bhi kiran nahin hai,
kahan jaaon ,kisse kahoon ,
aur kon samjhega meri baatein ko ,
kon share karega ,to socha kyun na blog likna shuru karoon,
dil ne kaha aur kalam chod kar keyboard thaam liya ,
logoon ne kaha kyun likna chathi ho ,roka ,poocha kya milega,
magar dil ne kaha dimaah ki shanthi aur dil ko sakoon milega ,
isliye aaj se likna shuru kar rahi hoon
.
Posted by Picasa